Study Me Concentrate Kaise Kare ????



Study me Concentrate kaise kare in hindi aaj hum uske baarein me jangenge. Aapko me Kuch aesi trick batane wala hu jisse ye padhai pe dhyan lagana possible ho payega fir aap Kisi bhi course me struggle kar ke acche marks se pass ho sakte hai.

Study pe concatenate na kar Pana, padhai me man na lagna, tension/depression me hona, study me kamjor hone ki wajah Kya hai, study kaise kare tips, dhyan kendrit Karne ke tarike, mind ko concentrate kaise kare in hindi, padhai karne ka sahi time, padhai me man lagane ke nukshe, padhai karne ka formula, study concentration tips, stuy par focus / concentrate kaise kare, how to concentrate our mind in studies in hindi etc cheezo ke answer aapko is article me mil jayenge.

Mujhe Kuch  friends puch rahe the ki study pe Concentrate kaise karte hai to ye article unke or aapke liye hai. isme aapko sari cheezo ke answer mil jayenge bas shart inti hai, batai hue cheezo ko padh ke unpe action lena start kar de fir aap 100℅ concentrate Study pe kar payenge.

1. Goal Setting – लक्ष्य की स्थापना

Aapko sabse pahle ek goal/target banana hai, aapko goal banana jyda important nahi lagta hai to jaan lijiye ki iske importance Kya hai.

Agar Dhiru bhai ambani ne 4000 petrol pump ka malik banunga ye nahi socha hota  to aaj wo is mukap me nahi hote, steve jobs ne study na chhodi hoti to log 1970 me micro computer na dekh pate, Thomas Alva Edison ne bulb ke baarein me na socha hota to aaj sabke gharme bulb sayad hi Jalte. aapko pata nahi hoga ki padhai kyu karni hai to trust kariye aap thik se reading nahi kar payenge.

Koi insaan Delhi Jane ki sochega tabhi wo delhi ja payega agar usko pata nahi hai ki uski manjil Kya hai to wo Kisi bhi rastey pe chala jaye kya fark padta hai. Smart Goal Setting Kaise Kare or Goal Setting Karne ke 11 Wonderful Benefits Kya hai ye posts jarur padhe inme maine full info di hain.

2. Positive Mind – सकारात्मक मन

Mind ko positive rakhe, soche ki yes mera goal Pura karne ke liye me pure dil se mahent karunga matlab man laga ke padhai karna. Kabhi Kisi ki baato me mat aaiye jaise Kuch log bolte hai yr ye cheez tum nahi kar sakte. Ye cheez me nahi kar sakta, mujse nahi hoga ya fir mujse hota hi nahi hai aese excuses kabhi mat banaye sirf khud ko ye puche ki kaise hoga jawab aapko uske Kuch hi minutes me mil jayega ya fir jab tak nahi milta kaise hoga??

Kuch log hote hai Jo aapka bura sochte hai wo aapke friends, reletivies koi bhi ho sakta hai, aap unsuccessful ho jaye isiliye motivate na Karne ke bajaye dusri baatein karenge jaise  padhai karke Kya milta hai, aajakal berojgaari jyda hai so padh ke Kya fayda, teacher thik se padhate nahi hai, hum padh nahi sakte kaam Karne ke liye hi bane hai etc Jiski wajah se aap tension me aa jayenge. Khud ko inta motivated rakho ki koi aapke andar negativityna ghusa paye.

No comments: